Saturday 11 June 2016

Urdu Gazal

Urdu Gazal

Teray Ishq Main
Likhay Taaza Tareen Shair Abhi Teray Ishq Main,
Na Dekhay Gham Na hi Andheray Kabhi Teray Ishq Main,

Ghazal Bani Hai Abhi Bas Abhi Abhi Hi To,
Piroye Shair Say Jab Shair Sabhi Teray Ishq Main,

Mizaaj Ishqiya Rakhta Nahin Main Muddat Say,
Magar Main Kyun Na Rakhun Aaj Abhi Teray Ishq Main,

Zaraa Ik Baar To Nazrain Uthaa kar Daikh Lay Mujhko,
Main Parhna Chahta Hoon Kya Likha Hai Teray Ishq Main,

Mujhay Maloom Hai Par Kya Tujhay Maloom Hai Ye Sab,
Ki Usanay Kya, Kahan, Kab, Kyon Likha Hai Teray Ishq Main.

Mujrim Bhi Tha Mohsin Bhi Mera Lagta Tha

 Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha,
Dast-e-Qaatil bhi mujhay dast-e-HINA lagta tha.

Aray daikhnay walay to usay daikhtay reh jatay thay,
Haan wo shaks muhabbat ka KHUDA lagta tha.

kanton bhari shaakh nazar aata tha kabhi,
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha.

Ab logon say poochhta phirta hai meray ghar ka pata,
Main jisay saray zamanay say bura lagta tha.

Us ki baatain thin rawaayaat say hat kar AGHA,
Sub main rehta tha magar sub say juda lgta tha.

AAJ BHI


'"AAJ BHI"
Ek Mudat Se Jise Dekha Nahi

    "Aaj Bhi"
Wo Zahen Se Utra Nahi

    "Aaj Bhi"
Wo Toot Kr Aata Hai Yaad

    "Aaj Bhi"
Main Raat Bhar Sota Nahi

    "Aaj Bhi"
Sacha Hoon Apne Ishq-O-Wafa Mein

    "Aaj Bhi"
Wada Mera Jhota Nahi

    "Aaj Bhi"
Qaim Hon Apne Zabt Par

    "Aaj Bhi"
Main Toot Kar Bikhra Nahi

    "Aaj Bhi"
Main Sirf Usi ka Hon Mgr

Sawal Ab Itna Hai
Ke Wo Mera Nahi.'

Poetry BY Allama Iqbal

Poetry BY Allama Iqbal







Allama Iqbal Urdu Poetry

Allama Iqbal Urdu Poetry









Wednesday 1 June 2016

Find Us on Facebook

fgfddgcgfyyg